Thursday, November 10, 2011

Poetry: Bohat muddat k baad kal shab


Bohat muddat k baad kal shab

Kitab-e-maazi ko main ne khola

Bohat se chehray Nazar main utary

Bohat se Naamon pe dil paseeja

Ek safha aisa bhi aya

Likha hua tha jo Aansuon se

Unwan jis ka tha "YAAD TERI"

Safha wo sab se hi Moatbar tha

Khwahishon ka ek Nagar tha

Kuch or Aansu us pe tapkay

Kuch or thora Dil Paseeja

Kitab-e-Maazi ko band kar k

Tery Khyalon main Kho gya main

Na jany kab thir so gya main.

Shab Bakhair

1 comment: